Posts

Showing posts from 2011

Mera Fasana

Khud se khud roobaroo hona.. Jaagti hui aankhon se sona.. Man ki uljhano ko man mai hi suljhana.. Nasamajh hote hue bhi khud ko samjhana.. Maana pagalpan hai.. haan.. thora hai bachkana!!.. Par hota aisa kyun hain aakhir???.. hai mushkil ye batana.. Dil behlane ko kuch yun hi gungunana.. Doston ke saath baith pure din gapiyana.. Kabhi zara si baat par dil khol ke khilkhilana.. Aur kabhi choti si baat par hi gussa ho jana.. Maana pagalpan hai.. haan.. thora hai bachkana!!.. Par hota aisa kyun hain aakhir???.. hai mushkil ye batana.. Kisi baat par zidd karte hue choti si bachhi ban jana.. Toh kabhi ekdum se bahut samajhdari dikhana.. Kabhi kisi baat ko poore jahan se chupana.. Aur pher kabhi anjane mai yun hi sabko batana.. Maana pagalpan hai.. haan.. thora hai bachkana!!.. Par hota aisa kyun hain aakhir???.. hai mushkil ye batana.. Kabhi kisi parichit se janboojh kar najre churana.. Toh kabhi kisi anjan se anjane mai man bhar ke batiyana.. Kabhi sabke saamne bahut himmat dikhana.. Toh k

Kya main hi hu badal gayi??

Har roj ki tarah aaj bhi ek sunehri bhor thi hui.. man mai naval umange uthi,jeene ki prerna mili.. pher achanak jab mai, aaine ke saamne aa khadi hui.. tab is man mai ajeeb si ek halchal hui.. Kuch toh jarur hai hua..sab bilkul badal sa hai gaya.. mera pratibimba mujhko hi lag raha tha yun anjana.. kya abhi bhi mai swapno ki duniya mai hi hu chal rahi.. ya sach mai, ye yathartha hai..Kya main hi hu badal gayi??.. Jeevan mai aaj tak dukhon ko swayam maine nai jhela hai.. Har mod par.. har dukh se badon ke pyar ne mujhe sambhala hai.. Par aaj aisa kyun lagta hai ab khud hi sab kuch jhelna hai.. Kya hai acha.. aur kya hai bura.. Zindagi mai ab samajhna hai.. Kuch toh jarur hai hua..sab bilkul badal sa hai gaya.. mera pratibimba mujhko hi lag raha tha yun anjana.. kya abhi bhi mai swapno ki duniya mai hi hu chal rahi.. ya sach mai, ye yathartha hai..Kya main hi hu badal gayi??.. Bachpan ki un gudde gudiyon ki duniya se nikal kar.. Kagaj ke un khilono ko apni yaadon ke ghar se nikaal kar..

Bhawar..

Aaj phir dekha maine zindagi ka vo roop, Jo dekh ke bhi baar baar darnikar mai karti thi.. Vo jo kehte the hai saath hum tere ho chaav ya ho dhoop, Un jaane-pehchane chehron par bhi jhalak dikhi aaj parayepan ki.. Kya jaruraatein hi insaan ko ek dusre ke kareeb laati hai.. Kya bhaavnaon ki ehmiyat ek hadd ke aage kam ho jati hai..?? Kyun aisa hota hai..?..Man yu is bhawar mai dolta hai.. Kaun hai apna kaun hai paraya.. bas manthan chalta rehta hai.. Anjane mai kayi baatein.. kyun dil ko chu jaati hain?? Vo choti choti si baatein aankhon mai aansu bhi le aati hain.. Kya ye khud meri hi nasamjhi hai..kya ye meri hi khata hai?? Kya har baat ko samajhne ka mera apna alag hi najaria hai..?? Kyun aisa hota hai..?..Man yu is bhawar mai dolta hai.. Kaun hai apna kaun hai paraya.. bas manthan chalta rehta hai.. In anginat raahon ki paheli mai.. ulajh si gayi hu mai.. Auron ka pata nahi.. par khud se khafa si rehne lagi hu mai.. Kyun mai kabhi kabhi khud ko hi nahi pehchaan paati?? Kyun chalti h

SAD TRUTH..

There's one sad truth in life I've found While journeying through from pillar to post.. The only people we really wound Are those we love the most. We mostly flatter those we scarcely know, We try to please the fleeting guest, And deal full many a thoughtless blow... To those who love us best...:)..:)..

I'll be the same..:)

I know there will be a time.. when definitely we'll part.. We may not be in contact with each other..but will be surely linked by our hearts..:) I will not give my word for that.. n I won't promise..:P.. coz I need you to believe me for that.. since I am not heartless..:).. I Hope n I believe that its the same from the other side.. Well.. this is what.. that only you have to decide.. Anyways.. At present I can only claim.. In any case.. in any situation.. I'll always be the same.. I won't change..:)..<3..<3..

VIVASH

dekh ke un panchiyon ko.. man mai ek kasak si uth jati hai.. ki todh du in bediyon ko mai.. jo mere armaano ko baandh, vivash mujhe banati hai.. swachaannd, swatantra, us aasmaa mai udna.. mere man ki bhi ek hasrat hai.. "apne" vicharon ko aprabhavit rakhna.. mere dil ki bhi ek chahat hai.. Phir kyu khud ki soch badlu mai?? Phir kyu ab "prabhavit" hu mai?? Kyun na saare jahan ko bhool kar.. Khud ki zindagi ke kuch pal jee lu main.. Ghar mai maa ne kabhi sikhaya tha.. Insaniyat ka paath mujhko bhi padhaya tha.. ki khud to tum khuddar bano.. Aur baakiyon ke liye jitna ho sake karo.. Maanti hu mai un saari baaton ko.. Amal karti hu mai maa ki un seekhon par.. Phir kyu aisa ahsaas hota hai.. dil ke kone mai koi rota hai.. Kyu mai hi humesha "samjha" karu..Kyu na bhaagoon mai bhi jeevan ki is raah par.. ishwar ke dwara rache is sansaar mai aate hue.. Humne toh kisi ki jimmedari nahi li thi.. Is nashwar shareer ko dharan karte hue.. Humne toh koi sapne nahi dekh