Posts

Showing posts from July, 2011

Kya main hi hu badal gayi??

Har roj ki tarah aaj bhi ek sunehri bhor thi hui.. man mai naval umange uthi,jeene ki prerna mili.. pher achanak jab mai, aaine ke saamne aa khadi hui.. tab is man mai ajeeb si ek halchal hui.. Kuch toh jarur hai hua..sab bilkul badal sa hai gaya.. mera pratibimba mujhko hi lag raha tha yun anjana.. kya abhi bhi mai swapno ki duniya mai hi hu chal rahi.. ya sach mai, ye yathartha hai..Kya main hi hu badal gayi??.. Jeevan mai aaj tak dukhon ko swayam maine nai jhela hai.. Har mod par.. har dukh se badon ke pyar ne mujhe sambhala hai.. Par aaj aisa kyun lagta hai ab khud hi sab kuch jhelna hai.. Kya hai acha.. aur kya hai bura.. Zindagi mai ab samajhna hai.. Kuch toh jarur hai hua..sab bilkul badal sa hai gaya.. mera pratibimba mujhko hi lag raha tha yun anjana.. kya abhi bhi mai swapno ki duniya mai hi hu chal rahi.. ya sach mai, ye yathartha hai..Kya main hi hu badal gayi??.. Bachpan ki un gudde gudiyon ki duniya se nikal kar.. Kagaj ke un khilono ko apni yaadon ke ghar se nikaal kar..