VIVASH
dekh ke un panchiyon ko.. man mai ek kasak si uth jati hai.. ki todh du in bediyon ko mai.. jo mere armaano ko baandh, vivash mujhe banati hai.. swachaannd, swatantra, us aasmaa mai udna.. mere man ki bhi ek hasrat hai.. "apne" vicharon ko aprabhavit rakhna.. mere dil ki bhi ek chahat hai.. Phir kyu khud ki soch badlu mai?? Phir kyu ab "prabhavit" hu mai?? Kyun na saare jahan ko bhool kar.. Khud ki zindagi ke kuch pal jee lu main.. Ghar mai maa ne kabhi sikhaya tha.. Insaniyat ka paath mujhko bhi padhaya tha.. ki khud to tum khuddar bano.. Aur baakiyon ke liye jitna ho sake karo.. Maanti hu mai un saari baaton ko.. Amal karti hu mai maa ki un seekhon par.. Phir kyu aisa ahsaas hota hai.. dil ke kone mai koi rota hai.. Kyu mai hi humesha "samjha" karu..Kyu na bhaagoon mai bhi jeevan ki is raah par.. ishwar ke dwara rache is sansaar mai aate hue.. Humne toh kisi ki jimmedari nahi li thi.. Is nashwar shareer ko dharan karte hue.. Humne toh koi sapne nahi dekh