Aboojh paheli..

Kya tha vo daur..Wah! Kya thi Zindagi..
kaise itni jaldi nikal gaye vo 4 saal, yeh hai aboojh paheli..
Vo aankh khulte hi.. mobile mai GT ke msg ka milna..
tab timetable ek aankh se dekh kar.. dubara bistar pe gir jana..
Pher aaram se neend puri kar, sabko jagana..
debo ka vo roj roj class na jane ke bahane banana..
Vo bhag bhag kar mess mai nashta karne jaana..
Aur teacher ke class mai pahuchne ke 15 min baad class pahunch pana..

Vo entry maarte hi gud morning ke saath teacher ko ek smile dena..
taaki agar vo naraj bh ho.. tab bhi enter karne se roke na!!:-D..
Pher andar baith kar thoda bahut samajhne ki koshish karna..
na samajh aaye toh jo kan mai pade vo bina samjhe note karte rehna..
Kyunki chahe jo bhi ho.. hum ko minor bh toh dene hi hai..
aakhirkaar aaye toh college mai hum degree lene hai..:P
pher kabhi boring se lecture mai baar baar ubasi lena..
ya jyada neend aaye toh teacher ka dimaag kha lena..

Vo submissions mai record tod Bunk pe Bunk lagana..
Aur fine lag jaane par HOD ke paas ja kar unko samjhana..
Vo exams ke pehle raat ko classes lagana..
aur viva ke time bindaas funde pel kar aana..
Vo shaam ko hostel se mandir tak ki round walk lagana..
Thori si "General Knowledge" badana.. pher Ice cream khana..
Vo har semester ke baad ghar jaane ko ek mahina milna..
Aur naye semester mai last sem ka sab kuch bhul ke aana..

Vo ek hi bartan mai maggi ke char packet banana..
chahe jaisi bhi bani ho milkar bade chaav se khana..:)..:)
Vo exam bunk maar ke, Lake view ghumne jana..
Aur ek raat mai baith kar pure major project ko niptana..
Vo third year ka josh ki MBA hai karna..
Aur sneha ki gaddi mai MP Nagar ghumna..:P
vo poore hafte ki safai ek din mai niptana..
Aur Wednesday market ke fruits ko rakh rakh kar sadana..

Vo placement ke naam par poore hafte ka bunk lagana..
Aur companies ki list banake teachers ko patana..
Vo neha ki gossips, Vo gunju ke games aur gaane..
Tintu ke banana chips aur south indian saugaatein..
Vo sneha ke ghar se kaaju katli aur kachri ka dahej..
Aur gabbu ke gaane aur "interesting" baatein aur chicken se parhej..:P..
Vo TPO room mai free lunch ka packet khana..
vo din bhar kaam karke shaam ko ghumne nikal jana..

Vo bas 1000 Rs. mai poora mahina nikalna..
Account mai balance kam hone par didi se paise dalwana..
Vo exam time mai had se jyada neend aana..
Aur exam khatam hote hi insomnia ho jana..
aajkal toh ek mahine mai hajaro kharch karte hain..
par shaam ko chain se ghumne kam hi nikalte hain..
neend aaye ya na aaye usse kahan farq padna hai..
jo bhi ho.. jaise bhi ho..subah 8 baje office ko nikalna hai..

Bunk maarne ki sahuliyat ab hai humse chin gayi..
Kya karein ab humari life CL, EL aur HPL mai simat gayi..
Aha!! Kya tha vo daur.. Kya thi vo Zindagi..
kaise itni jaldi nikal gaye vo 4 saal, yeh hai aboojh paheli..
kya humein mil sakte hai vo chand pal dubara..
par vaisi dosti, vaisa apna pan, vaisa mahaul.. ab bahut mushkil hai pana..
Ji toh karta hai dubara se graduation karne college pahuch jaun..
Aur is baar in chaar saalon ki is aboojh paheli ko suljhaun..:)..:)

Comments

Popular posts from this blog

Our Invisible Bond!

Paa..

Its harder to apply..