??prashna??
Aaj mandir gayi thi, kuch ansuljhe, ankahe, vicharon ko lekar. oob chuki thi mai, is duniya ke aneko roop dekhkar.
Man mai anekanek, ajeebogareeb sawal the, jo jawab maang rahe the, jawab maang rahe the vo aadarsh, jo maa ne sikhaye. Jawaab maang rahe the vo sanskar, jo parivaar se mile.!!!! Kya is sansaar mai ye maayne rakhte hai...??? kya inko apne mai samakar, hum is duniya mai jee sakte hai???
Isi udedbun mai khud ko liye, aaj pahuchi thi mai us ishwar ke dar par jise sab kehte hai ki vo sarvagyani hai, jisko sab taranhaar kehte hai, jo sarva vidhyamaan hai. Phir bhi jisko dhundhne hum, mandir mai hi jaate hai... haan phir bhi usko dhundhne hum, mandir mai jaate hain!!!
Aaj nischy tha kara maine, kuch sawalo ke to jawab maangne hai. Jo us sarvagyani, taranhaar, sarvidhyamaan ko hai dene, jise sab parmeshwar maante hai.
Kya in mukhauto ki duniyaa mai, ek insaan ka jeena mumkin hain. Kya in kathputliyon ke sang, ...