??prashna??




Aaj mandir gayi thi,

kuch ansuljhe, ankahe, vicharon ko lekar.

oob chuki thi mai,

is duniya ke aneko roop dekhkar.


Man mai anekanek, ajeebogareeb sawal the,

jo jawab maang rahe the,

jawab maang rahe the vo aadarsh,

jo maa ne sikhaye.

Jawaab maang rahe the vo sanskar,

jo parivaar se mile.!!!!

Kya is sansaar mai ye maayne rakhte hai...???

kya inko apne mai samakar,

hum is duniya mai jee sakte hai???


Isi udedbun mai khud ko liye,

aaj pahuchi thi mai us ishwar ke dar par

jise sab kehte hai ki vo sarvagyani hai,

jisko sab taranhaar kehte hai,

jo sarva vidhyamaan hai.

Phir bhi jisko dhundhne hum,

mandir mai hi jaate hai...

haan phir bhi usko dhundhne hum,

mandir mai jaate hain!!!


Aaj nischy tha kara maine,

kuch sawalo ke to jawab maangne hai.

Jo us sarvagyani, taranhaar, sarvidhyamaan ko hai dene,

jise sab parmeshwar maante hai.


Kya in mukhauto ki duniyaa mai,

ek insaan ka jeena mumkin hain.

Kya in kathputliyon ke sang,

ek manav reh sakta hai.

Jis manushya ko tune garv se banaya O brahma,

aaj vo manushya hi apne bandhuon ka dushman bana baitha hai.

Kya yehi hai teri duniya??



banavati pan mai jeene vaale,

har haal mai hai jeet jate...

“haar” to un ke gale ka “haar” hai bani,

jo hai apne moolyo par jeevan ko jeena vale prani.

kya yehi hai tera insaaf???


Suna hai geeta mai tune ye kaha ki mai aaonga

jab jab adharm dharm ko raundega mai aaonga

kab aaega tu hey ishwar??kab aaega??

kahin tujhe bhi ye darinde..

apni vaasna ke liye raund na daale.

Mana ye bhi tere hi sapoot hai,

par lalach ne inme kayi aur “gun” bhi hai bhar daale.

Ab ye peeche chodh sakte hai har kisi ko,

chahe vo khud inko banane vala hi kyu na ho!!

Bacha le hey ishwar,

is duniya ko bacha le!!

aur agar na aa sake to kam se kam ye to bata de,

kya ek insaan ka jeena is sansaar mai gavara hai..??



Comments

Pahadi_Canary said…
This comment has been removed by the author.
Unknown said…
This comment has been removed by a blog administrator.
kirti said…
cool..
badi gehri baat kahi...
choo gayi dil ko..

Popular posts from this blog

Our Invisible Bond!

Paa..

After all.. its MBA!!