Paa..

ek nanhi si kali jab "in" haathon mai aayi thi,
tab is albeli anokhi duniya se ekdum bekhabar thi.
aapne apne kandhon mai baithakar is duniya se use roobaru karaya,
kya hai acha aur kya bura... aap hi ne sikhaya.


duniya ki durgam raah mai mujhko khud hi chalna padega,
aur us path par thokarein kha kar aage bhi badna padega..
Shayad ye hi soch kar..
ungli pakad kar aapne chalna sikhaya,
aur girkar bhi phir se khud uthna sikhaya!!


zindagi ek jung hai!! mujhe bhi ladna padega,
zindagi ek nadi hai!! mujhko sang behna padega,
Shayad ye hi sochkar..
zindagi mai aage badna aapne sikhaya,
aur sikhaya zindagi mai dukhon ko khushi se jhelna..


keval jeevan jeena hi jeene ka maksad nahi!!
bina sanskaro ke manav, insaan kehne layak nahi...
Shayad ye hi soch kar..
apne moolyo par jeevan jeena aapne sikhaya,
aur anusashan ka pratham paath bhi aapne padhaya..


har jung hum jeet jaye aisa to mumkin nahi..
par haar maan jana bhi veeron ki fitrat nahi..
shayad ye hi soch kar..
aatmvishvas se jeevan jeena aapne sikhaya,
aur sikhaya aapne kabhi haar na manana..


aapke aagan mai khelte hue vo kali,
shayad ab hone lagi hai kuch badi..
humesha man hi man mai vo ye sochti hai!!!
kya kabhi aapka rinna(ऋण) vo chuka sakti hai??

janmdata hai aap!! saakshaat ishwar ka swaroop hai!!
aur kuch to de nahi sakte!! par ek vachan to de sakte hai!!
aapke bataye hue marg par hi hum kadam badayenge!!
aur us path par chalte hue hum kabhi nahi dagmagaenge!!
jab tak aapka aashirwaad saath rahega!!
"papa ka beta" har kaam karne mai samarth(समर्थ) rahega.

Comments

sneha said…
cool :) cool :) cool :)
simply superb! :)
G said…
this one is very nice.. and maine do baar bhi padi !!! ;-)
sadhna said…
loved the deepness of your thoughts ... very inspiring ...:) .. "really proud papa ki wonderful bitiya" ... keep it up ... :D ..recite this poem for him .. when you'll become ..what he wants you to be ;)
D2 said…
"papa ka beta" ab koi kali nahi hai.
Bohot kuch seekh chuki hai.
Bohot dekh, samajh chuki hai.
Badi ho gayi hai isliye aise pravachan likh rahi hai!

Yaar tera blog ab jaake mila mujhe!
Beautiful poem, Ankita.
This is Abhishek Sikdar, in case you don't recognize the name D2! :)
Pahadi_Canary said…
hmmm.. shayad se..par "pravachan"..:P..:D.. chal koi nh..
D2 said…
Main hindi mein pehli baar likha kuch lines. I don't write hindi poetry!
I was trying to understand how tough it is to write in hindi!
Anyway, meri chhod..you write really well. You should write more often, though.
Pahadi_Canary said…
okies re!!.. par feel aani jaruri hai na...:)
D2 said…
arre haan haan sorry ji! :D
Zave said…
Ankita beti,
Tu toh chaa gayi re!
Baas thoda time laga padhne main, par samajh aa gaya mostly. Mast hai.
;)
[sniff...sniff]...mai ro rai hu ankita...!!!..it's xtremely touchy...
good job grl..!!
Anant Khaitan said…
abe yeh bahut bada hai yaar.. himmat nahi hui padne ki..
Pahadi_Canary said…
he he..:D.. i knew tht..:P.. tu bahut predictable hai dada..:)
Puneet said…
tu khush rehti toh acha-2 sochti hai aur likhti bhi hai...
isiliye bolta hun ke khush raha kar..

keep it up.. :)
pks said…
it is simply great....very touching....:):)

Popular posts from this blog

'Empty Spaces'

After all.. its MBA!!