Achanak man mai ek khayal ayaa..
is jeevan ki asankhya chunautiyon ke beech,.. is bheed mai aankhon ko meech. khadi thi mai pata nahi kab se,... par naa jane kaha se kaise???. achanak man mai ye khayal aaya.. kal hi to aaye the yaha.. nahi pata tha jaenge kaha?. kaise ek anjaan jagah kuch hi samay mai... man mai bas gayi.. apna ghar ho jaise. achanak man mai ye khayal aaya.. haan..anjani si is jagah aayi thi mai.. man mai bahut se sawalo ko samayi thi mai. kaisa hoga vo pal jab puri hogi man ki aas... hoga jindagi mai apne bade hone ka ehsaas. achanak man mai ye khayal aaya.. yaad to aati hai un sab ki bhi.. jinhe chodh aayi hu mai nirmohi si. unki bhi jagah hai alag is dil mai... kya jeena unke bin seekh paungi mai. achanak man mai ye khayal aaya.. rehna ek anjaan jagah par itna bhi aasaan hi.. apno se door rehna humko bhi pasand nahi. humaari bhi rahon mai anginat shool hai... hume bhi pata hai manjil abhi bahut door hai. achanak man mai ye khayal aaya.. mud jana vapas rahon se... fitrat ke anuroop nahi.. naav ko m...