Ek ajeeb si kashmakash!!..

ladkhadate hain kadam, dagmagate se hain hum..
na man mai hai koi umang, na hi jeevan mai hai rang;
aur na hi hai antahkaran mai.. koi tarang..
bas hai is jindagi mai.. ek ajeeb si kashmakash..

sab hi to theek tha, kuch hi pal pehle yaha,
magar tab sama aur tha, tha saath mai ek kaarvaan...
par achanak is samay..koi nahi hai saath mere.. koi nahi hai aaspas..
bas hai is jindagi mai.. ek ajeeb si kashmakash..

hum to akele kabhi na the.. hum to the sab ke sang..
ab na jane ye kya ho gaya, vo kaafila kahan kho gaya??..
kuch bhi na baaki raha.. ho gaye hain gum se sab..
bas hai is jindagi mai.. ek ajeeb si kashmakash..

aji!! aisa tha na kabhi.. hum na the majboor kabhi..
ab achanak kuch hi palon main ye aisa kya ho gaya..??
na hi man isthir raha, na hi ab khud par hai vash..
bas hai is jindagi mai.. ek ajeeb si kashmakash..

aage kya karna hume hai, hai kahan jana hume??
humne kuch socha nahi..aur kuch nishchit nahi,
apni manjil ki khabar nahi..raah bhi dikhti nahi..
bas hai is jindagi mai.. ek ajeeb si kashmakash..

log milte hain sabhi,jo is raah mai mile the kabhi..
par..na jane kyu ab ve "apne" bhi "anjane" lage!!...
na hi "apnapan" jhalakta.. na dikhe pyar ki jhalak..
bas hai is jindagi mai.. ek ajeeb si kashmakash..

Aaj mai tanha khadi hu.. aur khud se poochti hu..
kyu mai itna sochti hu.. kyu na mai sab bhoolti hu..
jeevan to hai aviral...hai phir man kyu vikal??..
kyun hai is jindagi mai.. ye ajeeb si kashmakash..

Comments

Zave said…
How come you are in such a state?
I can find no reason for it, or is it just a well written fictitious thought?
Pahadi_Canary said…
hmmm..well..its just a thought!!
oyee...kya ho gya h tujhe..???
I cn clearly c ur future...y cant u??
write poems of "hope" grl...ur lyf is nt in a dilemma..it's jus on a rafting drive..!!:)
Pahadi_Canary said…
yup behna... :) will try... but really.. its wat i felt re!!..:(..

Popular posts from this blog

Paa..

'Empty Spaces'

After all.. its MBA!!