VIVASH

dekh ke un panchiyon ko..
man mai ek kasak si uth jati hai..
ki todh du in bediyon ko mai..
jo mere armaano ko baandh, vivash mujhe banati hai..

swachaannd, swatantra, us aasmaa mai udna..
mere man ki bhi ek hasrat hai..
"apne" vicharon ko aprabhavit rakhna..
mere dil ki bhi ek chahat hai..
Phir kyu khud ki soch badlu mai??
Phir kyu ab "prabhavit" hu mai??
Kyun na saare jahan ko bhool kar..
Khud ki zindagi ke kuch pal jee lu main..

Ghar mai maa ne kabhi sikhaya tha..
Insaniyat ka paath mujhko bhi padhaya tha..
ki khud to tum khuddar bano..
Aur baakiyon ke liye jitna ho sake karo..
Maanti hu mai un saari baaton ko..
Amal karti hu mai maa ki un seekhon par..
Phir kyu aisa ahsaas hota hai.. dil ke kone mai koi rota hai..
Kyu mai hi humesha "samjha" karu..Kyu na bhaagoon mai bhi jeevan ki is raah par..

ishwar ke dwara rache is sansaar mai aate hue..
Humne toh kisi ki jimmedari nahi li thi..
Is nashwar shareer ko dharan karte hue..
Humne toh koi sapne nahi dekhe the..
Par aaj is mehfil ko alvida bolte hue..
kyun lagta hai ki kuch jimmedarian abhi nibhani hai..
Aaj is jahan ko chodh ke jaate hue..
Kyun lagta hai ki kuch khwab adhoore reh gaye hain..

Is tarah rona rone se.. mujhe bhi hai pata ki kuch nahi hoga..
Par shayad kuch kehne se..mann ka bojh thora sa kamm to hoga..
Kaun jaane..Zindagi dubara usi raftaar se chalne lage..
Jeevan ke path par phir hum agrasar hote rahe..
Kaun jaane aage hona kya hai..
Par aaj yahan baithe hue..
dekh ke un panchiyon ko..
man mai ek kasak si uth jati hai..
ki todh du in bediyon ko mai..
jo mere armaano ko baandh, vivash mujhe banati hai..

Comments

sadhna said…
beautiful .... rongte khade ho jaate hain ... very effective :): ...bt life is adventurous because of restrictions .. implicit or explicit ... and sometimes when they are broken ... that strange feeling (happy or sad) is quite pleasing .. and sometimes when followed ..the destinations they take us too ... are surprising and praiseworthy ... :) ..
Puneet said…
Mast.. zindagi me rules follow karna sahi hai par itna bhi nahi ke usse jeene ka maza kharab hone lage.. khud ko acha na lage.. Change should always be welcomed, accepted and implemented in life.. Rules aare made to give a direction to life, to initiate the process and then follow your heart to live LIFE. :)
Pahadi_Canary said…
@ sadhu Thanx a lot..:)..
@ PG.. Rules r made to be broken..:P.. well but following them makes us happy sometimes..:)
Unknown said…
Hi dear,,,,,,,
tu vivas mat hona,,,,,
swachand, swatantra, mukt jeena....
tu in sri bediyon ko tod dena,,,,
plar galti se bhi is naswar sansar ko mat chod dena,,,,,
darna mat badhte rahna ,,,,
jo galat lage usse ladhte rahna....
I AM WITH YOU........... HAMESA
Pahadi_Canary said…
:)..
Thanks dadda..:)..
Luv u loads... I know aap saath ho.. tabhi toh aage badhne ki himmat hai..:)

Popular posts from this blog

Paa..

'Empty Spaces'

After all.. its MBA!!