Kya main hi hu badal gayi??

Har roj ki tarah aaj bhi ek sunehri bhor thi hui..
man mai naval umange uthi,jeene ki prerna mili..
pher achanak jab mai, aaine ke saamne aa khadi hui..
tab is man mai ajeeb si ek halchal hui..
Kuch toh jarur hai hua..sab bilkul badal sa hai gaya..
mera pratibimba mujhko hi lag raha tha yun anjana..
kya abhi bhi mai swapno ki duniya mai hi hu chal rahi..
ya sach mai, ye yathartha hai..Kya main hi hu badal gayi??..

Jeevan mai aaj tak dukhon ko swayam maine nai jhela hai..
Har mod par.. har dukh se badon ke pyar ne mujhe sambhala hai..
Par aaj aisa kyun lagta hai ab khud hi sab kuch jhelna hai..
Kya hai acha.. aur kya hai bura.. Zindagi mai ab samajhna hai..
Kuch toh jarur hai hua..sab bilkul badal sa hai gaya..
mera pratibimba mujhko hi lag raha tha yun anjana..
kya abhi bhi mai swapno ki duniya mai hi hu chal rahi..
ya sach mai, ye yathartha hai..Kya main hi hu badal gayi??..

Bachpan ki un gudde gudiyon ki duniya se nikal kar..
Kagaj ke un khilono ko apni yaadon ke ghar se nikaal kar..
Maine to yun hi kuch banne ka ek khwab tha dil mai basa liya..
Par aaj achanak..sab kuch paane ke baad bhi..Kyun aisa hai mujhko lagta..
Kuch toh jarur hai hua..sab bilkul badal sa hai gaya..
mera pratibimba mujhko hi lag raha tha yun anjana..
kya abhi bhi mai swapno ki duniya mai hi hu chal rahi..
ya sach mai, ye yathartha hai..Kya main hi hu badal gayi??..

Vo choti choti baaton ko lekar bado ka samjhana..
Vo zara sa ruthne par sabko ko sau baar manana..
Kyun ab yun samjhana sabka lagta hai bilkul bachkana..
Kya itni badi ho gayi hu mai??.. bahut mushkil hai yeh batana..
Kuch toh jarur hai hua..sab bilkul badal sa hai gaya..
mera pratibimba mujhko hi lag raha tha yun anjana..
kya abhi bhi mai swapno ki duniya mai hi hu chal rahi..
ya sach mai, ye yathartha hai..Kya main hi hu badal gayi??..

Har baat ko has kar bhul jana.. thi meri fitrat kabhi..
rooth kar kisise fir khud manana.. ho gayi thi aadat meri..
Par ab kyun kisi ki kahi hui baat yun dil mai lag jaati hai..
Jara si baat bhi ab is man ko yun aahat kar jaati hai..
Kuch toh jarur hai hua..sab bilkul badal sa hai gaya..
mera pratibimba mujhko hi lag raha tha yun anjana..
kya abhi bhi mai swapno ki duniya mai hi hu chal rahi..
ya sach mai, ye yathartha hai..Kya main hi hu badal gayi??..

Bina baat ke ghar mai aapas mai vo ladna jhagadna..
kisi choti si cheej ke liye rona machalna..
Haan ab vo sab yaad kar aata hai hasna..
Par aakhir kyun hua jaruri yun mera badalna??..
Kuch toh jarur hai hua..sab bilkul badal sa hai gaya..
mera pratibimba mujhko hi lag raha tha yun anjana..
kya abhi bhi mai swapno ki duniya mai hi hu chal rahi..
ya sach mai, ye yathartha hai..Kya main hi hu badal gayi??..

Comments

Neha Verma said…
bahut acha likha hai, subah subah sabse pehle teri poem hi padhi hai :)aise hi likhte jaa :)
Deeksha Dey said…
tere savalo ka tu hi javab hai,
sab ka pyar tere sath hai,
phir tu kyu oti pareshan hai,
sabse pyari tere ye muskan hai,
suriti jab jagegi to janege,
apne savalo ka tu kese javab hai.

hummmmm ANKITA u r 1 of d most joy giving frnd n dauter n sister 2, be loving n i pray 2 god to bliss my sweet frnd with love n peace n harmony.

Popular posts from this blog

Paa..

'Empty Spaces'

After all.. its MBA!!