Maa..:)


Aap hi ho vo jisne sikhaya kya hai sahi.. aur kya hai galat,
Aap hi ho vo jisne sudhari meri har buri aadat..
Aap ke aanchal ke chaav main hi maine seekhi is jeevan ki baarikiyan..
Har cheej ko parakhne ka hunar bhi aapne hi mujhko hai diya..

Aaj bhi mai kuch galat karu agar.. aap hi ho jo mujhko tokti..
Chahe mai kuch bhi bol du.. kabhi mujhko akela na chodti..
Har mushkil pal mai suljha deti ho.. koi mushkil bata ke toh dekho..
Kabhi narajgi, kabhi pyaar, dekhe hain roop aapke anekho..

Chahe jitna bhi gussa ho.. pyaar se aagosh mai lene se maan jana..
kabhi dost, kabhi guru, toh kabhi bachi si ban jana..
Kabhi toh mere kuch kehne se jhat se maan jana..
Toh kabhi kehna,"Haan Beta ab tu meri Maa ban jana!"...:P..

Humne seekha kaafi kuch hai aapse.. kya kya ye bata pana mumkin nahin..
hum toh nikal aaye chodh aapko.. par aap abhi bhi intezar karti ho vahin..
Mumkin hai kabhi is zindagi mai koi bhool kar jaun main kabhi..
Par meri us bhool ko sudharne ki prerna hongi aap hi..

kabhi toh badi se badi baat ko dil khol aapke saamne bol jana..
kabhi kisi choti si galti ko bh aapse jabran chipana..
Samajh nahi payi kabhi kya rishta aisa hai rab ne banaya..
Ki Maa.., uska hi swarup hai, shayad ye chahta hai vo batana..

Khud ke armaan chodh ke.. humari kwahishein poori ki hai aapne..
Khud ke sapne chodh ke, dekhe apni aankhon se humare sapne..
hain kuch umeede aapki bhi.. hain aapke kuch armaan bhi..
Wada hai aapse.. jaise bhi ho.. poore main karungi sabhi.. love u maa..<3












Comments

Popular posts from this blog

Paa..

'Empty Spaces'

After all.. its MBA!!