bachpan ke vo pal

aaj pata nahi kaise.. bachpan ke vo pal yaad aa gaye..
sookhi hui in aakhon mai phir nami si la gaye..

Vo swachhand jeevan, vo nirmal sa pyar!!
Vo nischhal hasi, kya jeet..aur kya haar..!!

Vo mamta ki chaav mai jam kar khilkhilana,
Aur kabhi khel khel mai rona rulana..

Vo gudde aur gudiyan ki shadi rachana..!!
kabhi doctor, kabhi nurse.. to kabhi enggineer ban jana..

Vo didi ko din bhar ki baatein batana..
Aur bhai se ladkar.. phir usko manana..

Vo bina soche samjhe sawalo se jhoojna..
Aur atpate jawabo ko bhi maan jana..

Vo apni anokhi si duniya mai kho jana!!
Aur baaki saari jhanjhaton se bekhabar sa rehna..

Aha!! kya thi zindagi.. kya vo daurr tha..
man mai umang aur jeevan mai josh aur junoon tha..

Bas yun hi aaj.. vo swarnim din yaad aa gaye..!!
sookhi hui in aakhon mai phir nami si la gaye..

Comments

Aditi said…
like like like....itna achcha sochna doosro ko complex de sakta hai behna...:P. nyways bahut sach hai yaar

Popular posts from this blog

Paa..

'Empty Spaces'

After all.. its MBA!!